teri dushwariyan ai zindagi har roz Dhote hain
terī dushvāriyāñ ai zindagī har roz Dhote haiñ
thakan se chuur ho kar bhī bahut masrūr hote haiñ
ḳhizāñ har shāḳh ko mahrūm kar detī hai pattoñ se
bahārāñ meñ sabhī sūkhe shajar shādāb hote haiñ
ye dāġh-e-dil nahīñ dhulte kabhī do chaar chhīñToñ se
kahāñ ham khul ke ro paate haiñ bas palkeñ bhigote haiñ
musalsal dauḌte rahte haiñ lamhe maut kī jānib
ye dariyā kī tarah ḳhud ko samundar meñ Dubote haiñ
samay achchhā burā apnā banāte haiñ hamīñ 'hashmat'
vahī kal fasl kāTeñge jise ham aaj bote haiñ
teri dushwariyan ai zindagi har roz Dhote hain
thakan se chur ho kar bhi bahut masrur hote hain
KHizan har shaKH ko mahrum kar deti hai patton se
bahaaran mein sabhi sukhe shajar shadab hote hain
ye dagh-e-dil nahin dhulte kabhi do chaar chhinTon se
kahan hum khul ke ro pate hain bas palken bhigote hain
musalsal dauDte rahte hain lamhe maut ki jaanib
ye dariya ki tarah KHud ko samundar mein Dubote hain
samay achchha bura apna banate hain hamin 'hashmat'
wahi kal fasl kaTenge jise hum aaj bote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.