teri furqat mein mujhe nind kahan aati hai
terī furqat meñ mujhe niiñd kahāñ aatī hai
āñkhoñ āñkhoñ meñ har ik raat guzar jaatī hai
ab to is taur se zālim tirī yaad aatī hai
ki mujhe hosh se begāna banā jaatī hai
maiñ to har vaqt tujhe yaad kiyā kartā huuñ
tujh ko bhūle se kabhī yaad mirī aatī hai
terā har zulm-o-sitam mujh ko gavārā hai magar
terī ġhaflat se mirī jaañ pe ban aatī hai
ab ye aalam hai ki bedard zamāne ke saath
apnī hālat pe mujhe ḳhud bhī hañsī aatī hai
ḳhatm hotī hai shab-e-ġham kī kahānī 'fayyāz'
sham.a bujhtī hai bas ab sub.h huī jaatī hai
teri furqat mein mujhe nind kahan aati hai
aankhon aankhon mein har ek raat guzar jati hai
ab to is taur se zalim teri yaad aati hai
ki mujhe hosh se begana bana jati hai
main to har waqt tujhe yaad kiya karta hun
tujh ko bhule se kabhi yaad meri aati hai
tera har zulm-o-sitam mujh ko gawara hai magar
teri ghaflat se meri jaan pe ban aati hai
ab ye aalam hai ki bedard zamane ke sath
apni haalat pe mujhe KHud bhi hansi aati hai
KHatm hoti hai shab-e-gham ki kahani 'fayyaz'
shama bujhti hai bas ab subh hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.