teri gali mein ek diwana aksar aaya karta tha
terī galī meñ ik dīvāna aksar aayā kartā thā
dīvāroñ se sar Takrā ke lutf uThāyā kartā thā
baiTh ke sāhil par ham donoñ sapne boyā karte the
ret ke siine par ik bachcha mahl ugāyā kartā thā
aaj bhī is marhūm kī yādeñ ashkoñ se paivasta haiñ
dil dukhiyārā tere mere dard baTāyā kartā thā
mere paañv chaaT ke mere qad se bhī baḌh jaatā thā
mere saath tamāshe kitne merā saaya kartā thā
nok-e-mizha par kitne qulzum thaam ke baiThā rahtā thā
jaane kyuuñ maiñ gahre gahre zaḳhm chhupāyā kartā thā
ye bhī husūl-e-nāmvarī kī kitnī pāgal koshish thī
āb-e-ravāñ par likh ke apnā naam miTāyā kartā thā
teri gali mein ek diwana aksar aaya karta tha
diwaron se sar Takra ke lutf uThaya karta tha
baiTh ke sahil par hum donon sapne boya karte the
ret ke sine par ek bachcha mahl ugaya karta tha
aaj bhi is marhum ki yaaden ashkon se paiwasta hain
dil dukhiyara tere mere dard baTaya karta tha
mere panw chaT ke mere qad se bhi baDh jata tha
mere sath tamashe kitne mera saya karta tha
nok-e-mizha par kitne qulzum tham ke baiTha rahta tha
jaane kyun main gahre gahre zaKHm chhupaya karta tha
ye bhi husul-e-namwari ki kitni pagal koshish thi
aab-e-rawan par likh ke apna nam miTaya karta tha
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 446)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.