teri ek baat pe yun dil se tarane nikle
teri ek baat pe yun dil se tarane nikle
Chhabi Saksena Sahai Saba
MORE BYChhabi Saksena Sahai Saba
terī ik baat pe yuuñ dil se tarāne nikle
jaise ummīd ke jugnū ke Thikāne nikle
kyā huā terā karam jo na huā gar mujh pe
merī ulfat ke gharauñde se ḳhazāne nikle
itnā āsāñ na thā un se mirā duurī rakhnā
kis tarah azm ko ham apne nibhāne nikle
ham ne jaanā thā mohabbat kā sila hogā ġham
phir bhī kyā soch ke ham umr gañvāne nikle
un ke aane kī ho aahaT to mujhe lagtā hai
merī tanhā.ī sarāboñ se sajāne nikle
jab bhī ehsās-e-masarrat huā ik pal ko tabhī
niiñd se dard ko mere vo jagāne nikle
jo na kahnā thā kabhī aaj vo ash.ār banā.eñ
phir ye ma.azūr ġhazal sab ko sunāne nikle
tum se jo ho na sakā ham bhī kahāñ the māhir
ishq kī raah pe nākām siyāne nikle
vāsta itnā hī rahtā hai 'sabā' un se ye
chashm-e-pur-nam ko sitāroñ se sajāne nikle
teri ek baat pe yun dil se tarane nikle
jaise ummid ke jugnu ke Thikane nikle
kya hua tera karam jo na hua gar mujh pe
meri ulfat ke gharaunde se KHazane nikle
itna aasan na tha un se mera duri rakhna
kis tarah azm ko hum apne nibhane nikle
hum ne jaana tha mohabbat ka sila hoga gham
phir bhi kya soch ke hum umr ganwane nikle
un ke aane ki ho aahaT to mujhe lagta hai
meri tanhai sarabon se sajaane nikle
jab bhi ehsas-e-masarrat hua ek pal ko tabhi
nind se dard ko mere wo jagane nikle
jo na kahna tha kabhi aaj wo ashaar banaen
phir ye mazur ghazal sab ko sunane nikle
tum se jo ho na saka hum bhi kahan the mahir
ishq ki rah pe nakaam siyane nikle
wasta itna hi rahta hai 'saba' un se ye
chashm-e-pur-nam ko sitaron se sajaane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.