teri inayat ke bina ye nam mera kuchh nahin
terī ināyat ke binā ye naam merā kuchh nahīñ
tujh se judā ho jā.ūñgā to daam merā kuchh nahīñ
kālak se mujh ko aañkh kā kājal banāne ke liye
jo bhī kiyā tū ne kiyā hai kaam merā kuchh nahīñ
jis ne mujhe baḳhshā hunar vo daad kā haqdār hai
ikrām yā e.ajāz yā in.aam merā kuchh nahīñ
ye zindagī to har qadam letī hai merā imtihāñ
lekin kabhī shikva koī ilzām merā kuchh nahīñ
mujh se nahīñ tū us ḳhudā se maañg jo detā hai sab
terī tarah maiñ bhī huuñ ik mehmān merā kuchh nahīñ
teri inayat ke bina ye nam mera kuchh nahin
tujh se juda ho jaunga to dam mera kuchh nahin
kalak se mujh ko aankh ka kajal banane ke liye
jo bhi kiya tu ne kiya hai kaam mera kuchh nahin
jis ne mujhe baKHsha hunar wo dad ka haqdar hai
ikram ya eajaz ya inam mera kuchh nahin
ye zindagi to har qadam leti hai mera imtihan
lekin kabhi shikwa koi ilzam mera kuchh nahin
mujh se nahin tu us KHuda se mang jo deta hai sab
teri tarah main bhi hun ek mehman mera kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.