teri jagah udas tera yar karta hai
terī jagah udaas tirā yaar kartā hai
bargad kā kaam sāya-e-dīvār kartā hai
milne se pahle koī vasīla talāsh kar
paanī pe chal ke kaun nadī paar kartā hai
Thahrāv dil kī tarah kisī haath meñ nahīñ
vo vaar bhī kare to lagātār kartā hai
kyā ho jo chaar bol mohabbat ke bol do
itnā to har marīz kā ġham-ḳhvār kartā hai
hoñToñ pe jam chukī haiñ namak kī ka.ī taheñ
sahrā hai aur pyaas kā iz.hār kartā hai
daldal kā phuul kaise kisī baaġh meñ khile
tū bosa de ke mujh ko gunahgār kartā hai
kul kī tamām ḳhūbiyāñ hotī haiñ juzv meñ
angāra aag kī tarah takrār kartā hai
jis ko bhī koī shak ho in āñkhoñ se pūchh le
sailāb to zamīn ko hamvār kartā hai
āb-o-havā-e-dahr kī be-raunaqī to dekh
duniyā se baḌh ke kyā tujhe bezār kartā hai
patthar na ho to shīshe kī kyā ahmiyat rahe
merā nahīñ tū apnā bhī inkār kartā hai
teri jagah udas tera yar karta hai
bargad ka kaam saya-e-diwar karta hai
milne se pahle koi wasila talash kar
pani pe chal ke kaun nadi par karta hai
Thahraw dil ki tarah kisi hath mein nahin
wo war bhi kare to lagatar karta hai
kya ho jo chaar bol mohabbat ke bol do
itna to har mariz ka gham-KHwar karta hai
honTon pe jam chuki hain namak ki kai tahen
sahra hai aur pyas ka izhaar karta hai
daldal ka phul kaise kisi bagh mein khile
tu bosa de ke mujh ko gunahgar karta hai
kul ki tamam KHubiyan hoti hain juzw mein
angara aag ki tarah takrar karta hai
jis ko bhi koi shak ho in aankhon se puchh le
sailab to zamin ko hamwar karta hai
aab-o-hawa-e-dahr ki be-raunaqi to dekh
duniya se baDh ke kya tujhe bezar karta hai
patthar na ho to shishe ki kya ahmiyat rahe
mera nahin tu apna bhi inkar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.