teri KHatir ai dil-e-betab hain barbaad hum
teri KHatir ai dil-e-betab hain barbaad hum
Anwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
MORE BYAnwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
terī ḳhātir ai dil-e-betāb haiñ barbād ham
phir rahe haiñ maare maare chār-sū nāshād ham
jā ke bazm-e-yār meñ ḳhud hī hue haiñ jab asiir
kis tarah laa.eñ zabāñ par shikva-e-bedād ham
jis kī ḳhātir ahl-e-duniyā kī nigāhoñ se gire
ḳhūn-e-dil se likh rahe haiñ aaj vo rūdād ham
aaj tak jis ne kisī par rahm khāyā hī nahīñ
us pe hotā kyā asar karte bhī jo fariyād ham
ik na ik din panja-e-sayyād meñ aanā hī thā
rahte kaise gulsitāñ meñ is tarah āzād ham
har taraf phailā huā hai jab tirā dām-e-fareb
tā-ba-kai bachte tire phandoñ se ai sayyād ham
gulsitāñ bhar thā magar us shāḳh par bijlī girī
rakh rahe the āshiyāñ kī jis jagah buniyād ham
ban gayā hai bante bante ik mizāj-e-mustaqil
dil dhaḌaktā hai tujhe karte haiñ jab bhī yaad ham
qatl-gah meñ pūchhtā hai ai sitamgar hāl-e-dil
zab.h kar de ki kaheñge kuchh na ab jallād ham
bevafā bedād-gar se milne kī ab zid na kar
us kī mahfil meñ na jā.eñge dil-e-nāshād ham
kuchh samajh hī meñ nahīñ aatā hai 'ahmar' is kā bhed
ek zālim ke liye kyoñ ho ga.e barbād ham
teri KHatir ai dil-e-betab hain barbaad hum
phir rahe hain mare mare chaar-su nashad hum
ja ke bazm-e-yar mein KHud hi hue hain jab asir
kis tarah laen zaban par shikwa-e-bedad hum
jis ki KHatir ahl-e-duniya ki nigahon se gire
KHun-e-dil se likh rahe hain aaj wo rudad hum
aaj tak jis ne kisi par rahm khaya hi nahin
us pe hota kya asar karte bhi jo fariyaad hum
ek na ek din panja-e-sayyaad mein aana hi tha
rahte kaise gulsitan mein is tarah aazad hum
har taraf phaila hua hai jab tera dam-e-fareb
ta-ba-kai bachte tere phandon se ai sayyaad hum
gulsitan bhar tha magar us shaKH par bijli giri
rakh rahe the aashiyan ki jis jagah buniyaad hum
ban gaya hai bante bante ek mizaj-e-mustaqil
dil dhaDakta hai tujhe karte hain jab bhi yaad hum
qatl-gah mein puchhta hai ai sitamgar haal-e-dil
zabh kar de ki kahenge kuchh na ab jallad hum
bewafa bedad-gar se milne ki ab zid na kar
us ki mahfil mein na jaenge dil-e-nashad hum
kuchh samajh hi mein nahin aata hai 'ahmar' is ka bhed
ek zalim ke liye kyon ho gae barbaad hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.