teri KHatir kya nahin ai be-wafa maine kiya
terī ḳhātir kyā nahīñ ai be-vafā maiñ ne kiyā
tū ki ik patthar thā tujh ko devtā maiñ ne kiyā
qaid kar ke kar diyā be-bāl-o-par sayyād ne
āsmāñ chhūne kā jab bhī hausla maiñ ne kiyā
tazkira tak bhī mirā hotā hai us ko nāgavār
jis kī mahfil ko masarrat āshnā maiñ ne kiyā
toḌ kar shikva shikāyat kī har ik dīvār ko
us ke apne biich kā tai fāslā maiñ ne kiyā
ḳhūn-e-dil se ziist kī tārīḳh likhne ke liye
daar par jaane kā pahle faisla maiñ ne kiyā
teri KHatir kya nahin ai be-wafa main ne kiya
tu ki ek patthar tha tujh ko dewta main ne kiya
qaid kar ke kar diya be-baal-o-par sayyaad ne
aasman chhune ka jab bhi hausla main ne kiya
tazkira tak bhi mera hota hai us ko nagawar
jis ki mahfil ko masarrat aashna main ne kiya
toD kar shikwa shikayat ki har ek diwar ko
us ke apne bich ka tai fasla main ne kiya
KHun-e-dil se zist ki tariKH likhne ke liye
dar par jaane ka pahle faisla main ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.