teri KHushiyon ki KHatir main kitni mehnat karta hun
teri KHushiyon ki KHatir main kitni mehnat karta hun
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
terī ḳhushiyoñ kī ḳhātir maiñ kitnī mehnat kartā huuñ
ḳhvāboñ ko dīvāreñ aur tā'bīroñ ko chhat kartā huuñ
hijr ke dukh ko sukh karnā mushkil hī kyā nā-mumkin hai
lekin maiñ is zahr ko āsānī se sharbat kartā huuñ
pahle to maiñ sab se ziyāda ḳhud se mohabbat kartā thā
lekin ab maiñ sab se ziyāda ḳhud se nafrat kartā huuñ
merī majbūrī par shāyad majbūrī bhī chīḳh paḌe
maiñ bad-qismat dast-e-tanhā.ī par bai'at kartā huuñ
kitnī sanjīda-nazarī se dekh rahe haiñ ḳhār-o-gul
maiñ kamre ke ā.īnoñ kī yuuñ bhī 'izzat kartā huuñ
duniyā kī fitrat hai juute khā kar 'izzat kartī hai
maiñ Thahrā phir ḳhādim banda DaT kar ḳhidmat kartā huuñ
kaise kisī ohde par pahuñchūñ kaise gagan kā chāñd banūñ
na maiñ siyāsat sah paatā huuñ na maiñ siyāsat kartā huuñ
teri KHushiyon ki KHatir main kitni mehnat karta hun
KHwabon ko diwaren aur ta'biron ko chhat karta hun
hijr ke dukh ko sukh karna mushkil hi kya na-mumkin hai
lekin main is zahr ko aasani se sharbat karta hun
pahle to main sab se ziyaada KHud se mohabbat karta tha
lekin ab main sab se ziyaada KHud se nafrat karta hun
meri majburi par shayad majburi bhi chiKH paDe
main bad-qismat dast-e-tanhai par bai'at karta hun
kitni sanjida-nazari se dekh rahe hain KHar-o-gul
main kamre ke aainon ki yun bhi 'izzat karta hun
duniya ki fitrat hai jute kha kar 'izzat karti hai
main Thahra phir KHadim banda DaT kar KHidmat karta hun
kaise kisi ohde par pahunchun kaise gagan ka chand banun
na main siyasat sah pata hun na main siyasat karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.