teri KHun-rez siyasat ka asar lagta hai
terī ḳhūñ-rez siyāsat kā asar lagtā hai
raah chaltā huuñ to har gaam pe Dar lagtā hai
dasht-dar-dasht phirātā rahā mujh ko barsoñ
dil-e-āvāra jo barbād-e-nazar lagtā hai
vahī surḳhī vahī rangat vahī mānūs mahak
kaf-e-gul bhī to mirā zaḳhm-e-jigar lagtā hai
aaj bhī merī vafā-kesh nigāhoñ meñ tū
zindagī kā koī rangīn safar lagtā hai
terī palkoñ pe laraztā huā har qatra-e-ashk
mirī pur-shauq nigāhoñ meñ guhar lagtā hai
ab nahīñ aa.egā 'mushtāq' vo aane vaalā
bujh ga.e taare chalo vaqt-e-sahar lagtā hai
teri KHun-rez siyasat ka asar lagta hai
rah chalta hun to har gam pe Dar lagta hai
dasht-dar-dasht phiraata raha mujh ko barson
dil-e-awara jo barbaad-e-nazar lagta hai
wahi surKHi wahi rangat wahi manus mahak
kaf-e-gul bhi to mera zaKHm-e-jigar lagta hai
aaj bhi meri wafa-kesh nigahon mein tu
zindagi ka koi rangin safar lagta hai
teri palkon pe larazta hua har qatra-e-ashk
meri pur-shauq nigahon mein guhar lagta hai
ab nahin aaega 'mushtaq' wo aane wala
bujh gae tare chalo waqt-e-sahar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.