teri mahfil mein raushni na hui
terī mahfil meñ raushnī na huī
aaj bhī duur tīrgī na huī
zindagī se to maut behtar hai
aise jiine meñ zindagī na huī
dūsrī dāstāñ sunāte kyā
pahlī rūdād ḳhatm hī na huī
ek aur zindagī hai maut ke baad
ya.anī ye ziist aarzī na huī
chāhiye dostī ko rang-e-vafā
āshnā.ī hī dostī na huī
ham to insān-dost haiñ aise
koī sūrat bhī ajnabī na huī
ham ne ġham bhar liye haiñ dāman meñ
jab mayassar koī ḳhushī na huī
kyā 'kalīm' intizār-e-subh-e-hasīñ
log kahte haiñ shaam hī na huī
teri mahfil mein raushni na hui
aaj bhi dur tirgi na hui
zindagi se to maut behtar hai
aise jine mein zindagi na hui
dusri dastan sunate kya
pahli rudad KHatm hi na hui
ek aur zindagi hai maut ke baad
yani ye zist aarzi na hui
chahiye dosti ko rang-e-wafa
aashnai hi dosti na hui
hum to insan-dost hain aise
koi surat bhi ajnabi na hui
hum ne gham bhar liye hain daman mein
jab mayassar koi KHushi na hui
kya 'kalim' intizar-e-subh-e-hasin
log kahte hain sham hi na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.