teri mohabbaton ka talabgar main bhi hun
teri mohabbaton ka talabgar main bhi hun
Nayyar Qureshi Gangohi
MORE BYNayyar Qureshi Gangohi
terī mohabbatoñ kā talabgār maiñ bhī huuñ
īsār kā vafā kā parastār maiñ bhī huuñ
mar.ūb maiñ nahīñ tirī ūñchī uḌaan se
mauj-e-havā se barsar-e-paikār maiñ bhī huuñ
hirs-o-havas kā daur hai majbūr haiñ avaam
rishvat adā.egī kā gunahgār maiñ bhī huuñ
dariyā-dilī kā terī ishāra milā to hai
lekin rahe ḳhayāl ki ḳhuddār maiñ bhī huuñ
maiñ kyoñ kisī kī zaat pe kīchaḌ uchhāl duuñ
ye jāntā huuñ sāhab-e-dastār maiñ bhī huuñ
har ik nigāh-e-ḳhās ne samjhā mujhe aziiz
haañ mohtaram badaulat-e-kirdār maiñ bhī huuñ
hai ik bikā.ū jins-e-siyāsat meñ ab zamīr
tum bhī lagāo daam ḳharīdār maiñ bhī huuñ
khoTe khare kā farq samajhtā huuñ maiñ huzūr
is daur ke mizāj kā fankār maiñ bhī huuñ
kam-zarf ne kalaf kā pahan kar libās kyoñ
da.avā kiyā ki raunaq-e-bāzār maiñ bhī huuñ
'nayyar' ta.alluqāt haiñ aarī ḳhulūs se
ahbāb ke sulūk se bezār maiñ bhī huuñ
teri mohabbaton ka talabgar main bhi hun
isar ka wafa ka parastar main bhi hun
marub main nahin teri unchi uDan se
mauj-e-hawa se barsar-e-paikar main bhi hun
hirs-o-hawas ka daur hai majbur hain awam
rishwat adaegi ka gunahgar main bhi hun
dariya-dili ka teri ishaara mila to hai
lekin rahe KHayal ki KHuddar main bhi hun
main kyon kisi ki zat pe kichaD uchhaal dun
ye jaanta hun sahab-e-dastar main bhi hun
har ek nigah-e-KHas ne samjha mujhe aziz
han mohtaram badaulat-e-kirdar main bhi hun
hai ek bikau jins-e-siyasat mein ab zamir
tum bhi lagao dam KHaridar main bhi hun
khoTe khare ka farq samajhta hun main huzur
is daur ke mizaj ka fankar main bhi hun
kam-zarf ne kalaf ka pahan kar libas kyon
dawa kiya ki raunaq-e-bazar main bhi hun
'nayyar' talluqat hain aari KHulus se
ahbab ke suluk se bezar main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.