teri nazar ke aage main be-iKHtiyar hun
terī nazar ke aage maiñ be-iḳhtiyār huuñ
jo bhī huuñ jaisā bhī huuñ maiñ hī terā pyaar huuñ
tū māñgtā hai jis ko tahajjud ke vaqt meñ
maiñ vo ḳhudā kā bhejā huā e'tibār huuñ
jo gesuoñ se chal ke kamar pe kare hai raqs
tere badan se girtā huā ābshār huuñ
ik naukrī kī aas meñ kitne hī mar ga.e
maiñ bhī to marne ke hī liye be-qarār huuñ
teri nazar ke aage main be-iKHtiyar hun
jo bhi hun jaisa bhi hun main hi tera pyar hun
tu mangta hai jis ko tahajjud ke waqt mein
main wo KHuda ka bheja hua e'tibar hun
jo gesuon se chal ke kamar pe kare hai raqs
tere badan se girta hua aabshaar hun
ek naukri ki aas mein kitne hi mar gae
main bhi to marne ke hi liye be-qarar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.