terī nazroñ meñ mo'atabar na huī
maiñ mo.attar huī magar na huī
haal duniyā pe khul gayā merā
ek bas aap ko ḳhabar na huī
zindagī reza reza ho kar bhī
aaj tak gard-e-rahguzar na huī
tū safar-kār thā safar meñ rahā
maiñ tire paaoñ meñ Dagar na huī
tere dil tak chalī nahīñ aa.ī
apnī bhī zaat kī magar na huī
terī yādeñ thiiñ mere saath magar
hijr kī raat muḳhtasar na huī
kiye raushan ka.ī charāġh-e-duā
raushnī phir bhī baam par na huī
teri nazron mein mo'atabar na hui
main moattar hui magar na hui
haal duniya pe khul gaya mera
ek bas aap ko KHabar na hui
zindagi reza reza ho kar bhi
aaj tak gard-e-rahguzar na hui
tu safar-kar tha safar mein raha
main tere paon mein Dagar na hui
tere dil tak chali nahin aai
apni bhi zat ki magar na hui
teri yaaden thin mere sath magar
hijr ki raat muKHtasar na hui
kiye raushan kai charagh-e-dua
raushni phir bhi baam par na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.