teri nigah-e-lutf bhi nakaam hi na ho
terī nigāh-e-lutf bhī nākām hī na ho
dil to vo zaḳhm hai jise ārām hī na ho
chauñkā huuñ nīm-shab bhī yahī soch soch kar
vo āftāb ab bhī lab-e-bām hī na ho
tum jis ko jānte ho faqat apnī tab-e-ḳhās
vo rañj vo fasurda-dilī aam hī na ho
āhista is larazte hue pul pe rakh qadam
sadiyoñ kā inhidām tire naam hī na ho
ai dil mafar to kār-e-jahāñ se nahīñ magar
itnā to kar ki is meñ subuk-gām hī na ho
dastak sī de rahī hai darīche pe bād-e-sub.h
ai mahv-e-ḳhvāb sun koī paiġhām hī na ho
'ḳhurshīd' tū ne kaise nibhā.īñ ye uzlateñ
jaise tujhe kisī se koī kaam hī na ho
teri nigah-e-lutf bhi nakaam hi na ho
dil to wo zaKHm hai jise aaram hi na ho
chaunka hun nim-shab bhi yahi soch soch kar
wo aaftab ab bhi lab-e-baam hi na ho
tum jis ko jaante ho faqat apni tab-e-KHas
wo ranj wo fasurda-dili aam hi na ho
aahista is larazte hue pul pe rakh qadam
sadiyon ka inhidam tere nam hi na ho
ai dil mafar to kar-e-jahan se nahin magar
itna to kar ki is mein subuk-gam hi na ho
dastak si de rahi hai dariche pe baad-e-subh
ai mahw-e-KHwab sun koi paigham hi na ho
'KHurshid' tu ne kaise nibhain ye uzlaten
jaise tujhe kisi se koi kaam hi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.