teri pazeb ne kya nind mein sansen li hain
terī pāzeb ne kyā niiñd meñ sāñseñ lī haiñ
maiñ ne kis reshmī jhankār se bāteñ kī haiñ
jagmagāte hue mahtāb se kirneñ le kar
baat ke zaḳhm nahīñ zaḳhm kī rāteñ sī haiñ
apne hī sāmne lagtā hai banā ho ye jahāñ
aaj ik pal meñ ka.ī yug ka.ī sadiyāñ jī haiñ
ab nahīñ hotā kisī saañp ke kaaTe kā asar
'ishq meñ zahr kī ham ne ka.ī nadiyāñ pī haiñ
mehrbānī kī koī ek nazar ham par bhī
chāhne vāloñ meñ tere mirī jaañ ham bhī haiñ
jis ne ik baar havas se nahīñ dekhā tujh ko
vo gunahgār koī aur nahīñ ham hī haiñ
teri pazeb ne kya nind mein sansen li hain
main ne kis reshmi jhankar se baaten ki hain
jagmagate hue mahtab se kirnen le kar
baat ke zaKHm nahin zaKHm ki raaten si hain
apne hi samne lagta hai bana ho ye jahan
aaj ek pal mein kai yug kai sadiyan ji hain
ab nahin hota kisi sanp ke kaTe ka asar
'ishq mein zahr ki hum ne kai nadiyan pi hain
mehrbani ki koi ek nazar hum par bhi
chahne walon mein tere meri jaan hum bhi hain
jis ne ek bar hawas se nahin dekha tujh ko
wo gunahgar koi aur nahin hum hi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.