teri parchhain ko ab dhup dikhani hai mujhe
terī parchhā.īñ ko ab dhuup dikhānī hai mujhe
is liye ḳhvāb kī dīvār girānī hai mujhe
hasratoñ kā abhī lobān sulag jaa.e zarā
phir dhueñ par terī tasvīr banānī hai mujhe
dhīme lahje meñ bahut chīḳh liyā hai maiñ ne
ab to āvāz kī raftār baḌhānī hai mujhe
jo muqaddar meñ likhā hai vo mayassar hai magar
āḳhirī baar vo zanjīr hilānī hai mujhe
kaash is baar maiñ dariyāoñ se zinda lauTūñ
kyūñki ye ḳhaak to miTTī meñ dabānī hai mujhe
jis kā kirdār hai dar-asl kahānī merī
ab to darkār vahī asl kahānī hai mujhe
teri parchhain ko ab dhup dikhani hai mujhe
is liye KHwab ki diwar girani hai mujhe
hasraton ka abhi loban sulag jae zara
phir dhuen par teri taswir banani hai mujhe
dhime lahje mein bahut chiKH liya hai main ne
ab to aawaz ki raftar baDhani hai mujhe
jo muqaddar mein likha hai wo mayassar hai magar
aaKHiri bar wo zanjir hilani hai mujhe
kash is bar main dariyaon se zinda lauTun
kyunki ye KHak to miTTi mein dabani hai mujhe
jis ka kirdar hai dar-asl kahani meri
ab to darkar wahi asl kahani hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.