teri qurbat se kuchh ziyaada hai
terī qurbat se kuchh ziyāda hai
hijr lazzat se kuchh ziyāda hai
ai mirī jaan merī badnāmī
terī shohrat se kuchh ziyāda hai
vo jo ma.asūm sī mohabbat thī
ab aqīdat se kuchh ziyāda hai
umr bhar apne aap se laḌnā
merī himmat se kuchh ziyāda hai
ġham ziyāda so shā.irī apnī
is suhūlat se kuchh ziyāda hai
jis ko chāhā thā us kā mar jaanā
ik qayāmat se kuchh ziyāda hai
ye jo 'mas.ūd' ho ga.ī duniyā
merī hairat se kuchh ziyāda hai
teri qurbat se kuchh ziyaada hai
hijr lazzat se kuchh ziyaada hai
ai meri jaan meri badnami
teri shohrat se kuchh ziyaada hai
wo jo masum si mohabbat thi
ab aqidat se kuchh ziyaada hai
umr bhar apne aap se laDna
meri himmat se kuchh ziyaada hai
gham ziyaada so shairi apni
is suhulat se kuchh ziyaada hai
jis ko chaha tha us ka mar jaana
ek qayamat se kuchh ziyaada hai
ye jo 'masud' ho gai duniya
meri hairat se kuchh ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.