teri raat mein gahma-gahmi meri har ek raat mein chup
terī raat meñ gahmā-gahmī merī har ik raat meñ chup
terī chup meñ sab bāteñ haiñ merī har ik baat meñ chup
ik ik kar ke saare apne mujh se aise duur ga.e
tanhā.ī ne Derā Daalā phailī andar zaat meñ chup
jaane kaisī ye qismat hai chāhūñ kuchh to hotā kuchh
maiñ raunaq ko DhūñD rahā huuñ aur hai merī ghaat meñ chup
maiñ ne us se jaate jaate ek nishānī māñgī thī
us ne rog ināyat kar ke dī mujh ko sauġhāt meñ chup
ek nagar ābād huā to ik bastī vīrān huī
shahr kī āb-o-tāb baḌhī aur phail ga.ī dehāt meñ chup
ab bhī baaġh meñ ḳhāmoshī ke zaḳhm numāyāñ dikhte haiñ
ek baḌe tūfān kī mānind aa.ī thī barsāt meñ chup
teri raat mein gahma-gahmi meri har ek raat mein chup
teri chup mein sab baaten hain meri har ek baat mein chup
ek ek kar ke sare apne mujh se aise dur gae
tanhai ne Dera Dala phaili andar zat mein chup
jaane kaisi ye qismat hai chahun kuchh to hota kuchh
main raunaq ko DhunD raha hun aur hai meri ghat mein chup
main ne us se jate jate ek nishani mangi thi
us ne rog inayat kar ke di mujh ko saughat mein chup
ek nagar aabaad hua to ek basti viran hui
shahr ki aab-o-tab baDhi aur phail gai dehat mein chup
ab bhi bagh mein KHamoshi ke zaKHm numayan dikhte hain
ek baDe tufan ki manind aai thi barsat mein chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.