teri rahmat se achanak dur ho jaun na main
terī rahmat se achānak duur ho jā.ūñ na maiñ
ek mālik se kahīñ mazdūr ho jā.ūñ na maiñ
mere mālik ek chhoTī sī duā kar le qubūl
rahmateñ pā kar tirī maġhrūr ho jā.ūñ na maiñ
jhilmilātā sā diyā huuñ ḳhauf hai dil meñ to bas
dekhte hī dekhte be-nūr ho jā.ūñ na maiñ
is qadar tū imtihān-e-sabr mat le ab mirā
dar se uThne ke liye majbūr ho jā.ūñ na maiñ
us se milne kī dobāra is liye koshish na kī
us ke hāthoñ phir kahīñ ranjūr ho jā.ūñ na maiñ
us ne jab pardā haTāyā pher lī maiñ ne nigāh
is liye ki jal ke koh-e-tūr ho jā.ūñ na maiñ
aa.ina mujh ko banāyā hai to rakh mahfūz bhī
pattharoñ kī zad meñ aakar chuur ho jā.ūñ na maiñ
teri rahmat se achanak dur ho jaun na main
ek malik se kahin mazdur ho jaun na main
mere malik ek chhoTi si dua kar le qubul
rahmaten pa kar teri maghrur ho jaun na main
jhilmilata sa diya hun KHauf hai dil mein to bas
dekhte hi dekhte be-nur ho jaun na main
is qadar tu imtihan-e-sabr mat le ab mera
dar se uThne ke liye majbur ho jaun na main
us se milne ki dobara is liye koshish na ki
us ke hathon phir kahin ranjur ho jaun na main
us ne jab parda haTaya pher li main ne nigah
is liye ki jal ke koh-e-tur ho jaun na main
aaina mujh ko banaya hai to rakh mahfuz bhi
pattharon ki zad mein aakar chur ho jaun na main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.