teri surat basi hai aankhon mein
terī sūrat basī hai āñkhoñ meñ
is liye raushnī hai āñkhoñ meñ
tere dīdār ke liye jānāñ
ek halchal machī hai āñkhoñ meñ
hai 'ajab intizār kā 'ālam
niiñd bhī jāgtī hai āñkhoñ meñ
dekh kar tum ko band kar leñge
bas tumhārī kamī hai āñkhoñ meñ
yuuñ to dariyā samo.e haiñ lekin
jaane kyoñ tishnagī hai āñkhoñ meñ
un ke aane kā ḳhvāb dekhā thā
aur qayāmat khaḌī hai āñkhoñ meñ
kis ke dīdār ke liye 'mohkam'
jaan aTkī huī hai āñkhoñ meñ
teri surat basi hai aankhon mein
is liye raushni hai aankhon mein
tere didar ke liye jaanan
ek halchal machi hai aankhon mein
hai 'ajab intizar ka 'alam
nind bhi jagti hai aankhon mein
dekh kar tum ko band kar lenge
bas tumhaari kami hai aankhon mein
yun to dariya samoe hain lekin
jaane kyon tishnagi hai aankhon mein
un ke aane ka KHwab dekha tha
aur qayamat khaDi hai aankhon mein
kis ke didar ke liye 'mohkam'
jaan aTki hui hai aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.