teri surat se nahin tujhse mohabbat hui hai
terī sūrat se nahīñ tujh se mohabbat huī hai
shiddat-e-zabt meñ jo hālat-e-vahshat huī hai
mere atrāf meñ jo phuul khile haiñ mire dost
tere hone se hī to in meñ ye rangat huī hai
arsa-e-hijr meñ ai TuuT ke rone vaale
is se pahle bhī kabhī terī ye hālat huī hai
pyaas itnī hai ki halkān huā jaatā huuñ
mujh ko tujh se nahīñ dariyā se shikāyat huī hai
shahr kā shahr jo galiyoñ meñ umaD aaya thā
aise lagtā thā yahāñ koī baġhāvat huī hai
dil dhaḌakne kā sabab pūchh rahe ho to suno
terī aamad hī mujhe vaj.h-e-masarrat huī hai
maiñ ḳhudā kī tarah 'shahzād' use chāhtā huuñ
is liye merī mohabbat bhī ibādat huī hai
teri surat se nahin tujh se mohabbat hui hai
shiddat-e-zabt mein jo haalat-e-wahshat hui hai
mere atraf mein jo phul khile hain mere dost
tere hone se hi to in mein ye rangat hui hai
arsa-e-hijr mein ai TuT ke rone wale
is se pahle bhi kabhi teri ye haalat hui hai
pyas itni hai ki halkan hua jata hun
mujh ko tujh se nahin dariya se shikayat hui hai
shahr ka shahr jo galiyon mein umaD aaya tha
aise lagta tha yahan koi baghawat hui hai
dil dhaDakne ka sabab puchh rahe ho to suno
teri aamad hi mujhe wajh-e-masarrat hui hai
main KHuda ki tarah 'shahzad' use chahta hun
is liye meri mohabbat bhi ibaadat hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.