teri tarah malal mujhe bhi nahin raha
terī tarah malāl mujhe bhī nahīñ rahā
jā ab tirā ḳhayāl mujhe bhī nahīñ rahā
tū ne bhī mausamoñ kī pazīrā.ī chhoḌ dī
ab shauq-e-māh-o-sāl mujhe bhī nahīñ rahā
merā javāb kyā thā tujhe bhī ḳhabar nahīñ
yaad ab tirā savāl mujhe bhī nahīñ rahā
jis baat kā ḳhayāl na tū ne kabhī kiyā
is baat kā ḳhayāl mujhe bhī nahīñ rahā
toḌā hai tū ne jab se mire dil kā aa.ina
andāza-e-jamāl mujhe bhī nahīñ rahā
'bāqī' meñ apne fan se baḌā pur-ḳhulūs huuñ
is vāste zavāl mujhe bhī nahīñ rahā
teri tarah malal mujhe bhi nahin raha
ja ab tera KHayal mujhe bhi nahin raha
tu ne bhi mausamon ki pazirai chhoD di
ab shauq-e-mah-o-sal mujhe bhi nahin raha
mera jawab kya tha tujhe bhi KHabar nahin
yaad ab tera sawal mujhe bhi nahin raha
jis baat ka KHayal na tu ne kabhi kiya
is baat ka KHayal mujhe bhi nahin raha
toDa hai tu ne jab se mere dil ka aaina
andaza-e-jamal mujhe bhi nahin raha
'baqi' mein apne fan se baDa pur-KHulus hun
is waste zawal mujhe bhi nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.