teri tauqir baDhe aur meri izzat kam ho
terī tauqīr baḌhe aur mirī 'izzat kam ho
kuchh to aisā ho ki duniyā kī ye vahshat kam ho
log nikle to haiñ manzil kī talab meñ ghar se
raah bhī aisī chuneñ jis meñ sa'ūbat kam ho
vo 'ajab shahr hai jis meñ nahīñ giryāñ koī
vo 'ajab shahr hai jis shahr se hijrat kam ho
ab se pahle to yahāñ kī na thī aisī hālat
jaan jis kī chalī jaa.e use hairat kam ho
aaj maiñ ne tirī shamshīr qarīñ se dekhī
ab kahīñ merā taqāzā-e-shahādat kam ho
maiñ na.ī baat kahūñ aur na.e tevar se
merī tanqīd ziyāda ho vakālat kam ho
teri tauqir baDhe aur meri 'izzat kam ho
kuchh to aisa ho ki duniya ki ye wahshat kam ho
log nikle to hain manzil ki talab mein ghar se
rah bhi aisi chunen jis mein sa'ubat kam ho
wo 'ajab shahr hai jis mein nahin giryan koi
wo 'ajab shahr hai jis shahr se hijrat kam ho
ab se pahle to yahan ki na thi aisi haalat
jaan jis ki chali jae use hairat kam ho
aaj main ne teri shamshir qarin se dekhi
ab kahin mera taqaza-e-shahadat kam ho
main nai baat kahun aur nae tewar se
meri tanqid ziyaada ho wakalat kam ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.