teri to baat baat se hai mujhko iKHtilaf
terī to baat baat se hai mujh ko iḳhtilāf
har baat meñ sabāt se hai mujh ko iḳhtilāf
tere karam se aatī hai badle kī bū mujhe
so in muāmlāt se hai mujh ko iḳhtilāf
baiThe hoñ jis kī ghaat meñ saare gunāhgār
aisī añdherī raat se hai mujh ko iḳhtilāf
ho jin meñ darja-bandī amīr-o-ġharīb kī
aise ta.alluqāt se hai mujh ko iḳhtilāf
har chaal meñ hī maat ho 'gul' mere shaah kī
aisī bichhī bisāt se hai mujh ko iḳhtilāf
teri to baat baat se hai mujh ko iKHtilaf
har baat mein sabaat se hai mujh ko iKHtilaf
tere karam se aati hai badle ki bu mujhe
so in muamlat se hai mujh ko iKHtilaf
baiThe hon jis ki ghat mein sare gunahgar
aisi andheri raat se hai mujh ko iKHtilaf
ho jin mein darja-bandi amir-o-gharib ki
aise talluqat se hai mujh ko iKHtilaf
har chaal mein hi mat ho 'gul' mere shah ki
aisi bichhi bisat se hai mujh ko iKHtilaf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.