teri ulfat ko jaga rakkha hai
terī ulfat ko jagā rakkhā hai
dil meñ tūfān uThā rakkhā hai
rañj-o-rāhat haiñ gile-shikve haiñ
kaisā ghar-bār sajā rakkhā hai
us kā ehsān ki us ke dil ne
fāsla ham se sadā rakkhā hai
vaqt kyuuñ ret sā phislā jaa.e
ham ne muTThī meñ dabā rakkhā hai
sāmne rahte hue bhī us ne
ḳhud ko parde meñ chhupā rakkhā hai
shaad har pal haiñ ki ham ne dil ko
ḳhūgar-e-dard banā rakkhā hai
ḳhaar hai jis kī zabāñ us ne bhī
ghar ko phūloñ se sajā rakkhā hai
koī jumbish pas-e-parda ho kabhī
sar tire dar se lagā rakkhā hai
vo bhī kyā dil hai ki jis meñ 'anjum'
naam rakkhā na patā rakkhā hai
teri ulfat ko jaga rakkha hai
dil mein tufan uTha rakkha hai
ranj-o-rahat hain gile-shikwe hain
kaisa ghar-bar saja rakkha hai
us ka ehsan ki us ke dil ne
fasla hum se sada rakkha hai
waqt kyun ret sa phisla jae
hum ne muTThi mein daba rakkha hai
samne rahte hue bhi us ne
KHud ko parde mein chhupa rakkha hai
shad har pal hain ki hum ne dil ko
KHugar-e-dard bana rakkha hai
KHar hai jis ki zaban us ne bhi
ghar ko phulon se saja rakkha hai
koi jumbish pas-e-parda ho kabhi
sar tere dar se laga rakkha hai
wo bhi kya dil hai ki jis mein 'anjum'
nam rakkha na pata rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.