teri wafa ki haqiqat main aazma na saka
terī vafā kī haqīqat maiñ aazmā na sakā
bahut qarīb bhī rah kar maiñ tujh ko pā na sakā
paḌhī jo phone kī har samt reñgtī tahrīr
maiñ is ke baad kisī tarah muskurā na sakā
tire sulūk pe shikva nahīñ hai koī mujhe
maiñ ḳhud hī apnī tamannāoñ ko dabā na sakā
tire karam meñ kamī ho kuchh aisī baat na thī
tire ḳhulūs kā maiñ baar hī uThā na sakā
bahut ḳhulūs thā har chand merī bātoñ meñ
vo apne tanz kā nashtar magar chhupā na sakā
teri wafa ki haqiqat main aazma na saka
bahut qarib bhi rah kar main tujh ko pa na saka
paDhi jo phone ki har samt rengti tahrir
main is ke baad kisi tarah muskura na saka
tere suluk pe shikwa nahin hai koi mujhe
main KHud hi apni tamannaon ko daba na saka
tere karam mein kami ho kuchh aisi baat na thi
tere KHulus ka main bar hi uTha na saka
bahut KHulus tha har chand meri baaton mein
wo apne tanz ka nashtar magar chhupa na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.