teri yaadon ne taDpaya bahut hai
terī yādoñ ne taḌpāyā bahut hai
bhale hī dil ko samjhāyā bahut hai
bahut zaḳhmī kiyā hai dil ko tum ne
tumhīñ ko phir bhī apnāyā bahut hai
khile rahte haiñ zaḳhm-e-dil hamesha
ḳhizāñ ne zulm to Dhāyā bahut hai
lab-e-jānāñ jo zamzam-ātashīñ thā
havāsoñ par mire chhāyā bahut hai
luġhat meñ husn kī tārīf DhūñDhī
magar har lafz kam-māya bahut hai
dil-e-ātish kī sāzish meñ 'zamānī'
shab-e-hijrāñ ko garmāyā bahut hai
teri yaadon ne taDpaya bahut hai
bhale hi dil ko samjhaya bahut hai
bahut zaKHmi kiya hai dil ko tum ne
tumhin ko phir bhi apnaya bahut hai
khile rahte hain zaKHm-e-dil hamesha
KHizan ne zulm to Dhaya bahut hai
lab-e-jaanan jo zamzam-atashin tha
hawason par mere chhaya bahut hai
lughat mein husn ki tarif DhunDhi
magar har lafz kam-maya bahut hai
dil-e-atish ki sazish mein 'zamani'
shab-e-hijran ko garmaya bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.