teri zimmadariyon se bhagna mumkin nahin
terī zimmadāriyoñ se bhāgnā mumkin nahīñ
tujh meñ maiñ yā mujh meñ tū ye jānñā mumkin nahīñ
dil ke darvāze pe us ke dastakeñ dete raho
kaise rahtā hai vo phir nā-āshnā mumkin nahīñ
ho ga.ī hai kaisī duniyā dekh mere dost aaj
hai parāyā kaun apnā jānñā mumkin nahīñ
kitnī bhī paḌh lo kitābeñ kitne bhī da.ave karo
phir bhī is duniyā meñ sab kuchh jānñā mumkin nahīñ
maiñ ne kar liiñ itnī ūñchī ghar kī dīvāreñ ki ab
aise vaisoñ kā mire ghar jhāñknā mumkin nahīñ
kaun kahtā hai ki maz.hab ne laḌāyā hai hameñ
aur tum kuchh bhī kaho ye jānñā mumkin nahīñ
is qadar tum gir ga.e apnī hī nazroñ se 'sujīt'
kah rahe ho aa.ine kā sāmnā mumkin nahīñ
teri zimmadariyon se bhagna mumkin nahin
tujh mein main ya mujh mein tu ye jaanna mumkin nahin
dil ke darwaze pe us ke dastaken dete raho
kaise rahta hai wo phir na-ashna mumkin nahin
ho gai hai kaisi duniya dekh mere dost aaj
hai paraya kaun apna jaanna mumkin nahin
kitni bhi paDh lo kitaben kitne bhi dawe karo
phir bhi is duniya mein sab kuchh jaanna mumkin nahin
main ne kar lin itni unchi ghar ki diwaren ki ab
aise waison ka mere ghar jhankna mumkin nahin
kaun kahta hai ki mazhab ne laDaya hai hamein
aur tum kuchh bhi kaho ye jaanna mumkin nahin
is qadar tum gir gae apni hi nazron se 'sujit'
kah rahe ho aaine ka samna mumkin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.