tewar tumhaare dekh kar aadha suKHan karun
tevar tumhāre dekh kar aadhā suḳhan karūñ
varna maiñ chāhtā huuñ ziyāda suḳhan karūñ
mujh ko mirī ġhazal kā chamaknā pasand hai
puurā karūñ ye nek irāda suḳhan karūñ
ḳhāmoshī dab na jaa.e ma.ānī ke bojh se
āhista us kī pusht pe laadā suḳhan karūñ
ye kam numū charāġh mujhe dekhte raheñ
jab bād-e-tund se sar-e-jāda suḳhan karūñ
jo baat mere dil meñ hai sab ko patā chale
aksar ye sochtā huuñ ki saada suḳhan karūñ
merā kamāl ye hai bisāt-e-kamāl par
shāhoñ ke rū-ba-rū maiñ piyāda suḳhan karūñ
maiñ ik qadīm matn kī sūrat likhā huā
pahnūñ hurūf-e-nau kā labāda suḳhan karūñ
ye shā.erī hai koī tijārat nahīñ janāb
tuf hai agar barā.e-ifāda suḳhan karūñ
'yāvar' maiñ koī shā.ir-e-kam-hausla nahīñ
jo dekh kar zamīn kushāda suḳhan karūñ
tewar tumhaare dekh kar aadha suKHan karun
warna main chahta hun ziyaada suKHan karun
mujh ko meri ghazal ka chamakna pasand hai
pura karun ye nek irada suKHan karun
KHamoshi dab na jae maani ke bojh se
aahista us ki pusht pe lada suKHan karun
ye kam numu charagh mujhe dekhte rahen
jab baad-e-tund se sar-e-jada suKHan karun
jo baat mere dil mein hai sab ko pata chale
aksar ye sochta hun ki sada suKHan karun
mera kamal ye hai bisat-e-kamal par
shahon ke ru-ba-ru main piyaada suKHan karun
main ek qadim matn ki surat likha hua
pahnun huruf-e-nau ka labaada suKHan karun
ye shaeri hai koi tijarat nahin janab
tuf hai agar barae-ifada suKHan karun
'yawar' main koi shair-e-kam-hausla nahin
jo dekh kar zamin kushada suKHan karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.