tez aandhi the bagula the saba the hum bhi
tez āñdhī the bagūla the sabā the ham bhī
apnī auqāt se har chand sivā the ham bhī
Dhal gayā umr kā sūraj to ye ehsās huā
chaar din ke liye kyā jāniye kyā the ham bhī
laġhzisheñ ham se bhī kyā kyā na bahar-gām huiiñ
pūchhiye ham se to pāband-e-vafā the ham bhī
aaj Thukrā.e hue sang kī sūrat hī sahī
kal larazte hue hoñToñ kī duā the ham bhī
ġham to ye hai na mile ham ko parakhne vaale
dahr meñ ā.ina-e-sidq-o-safā the ham bhī
ho ga.e bas ki badaltī huī qadroñ ke shikār
apne aslāf ke naqsh-e-kaf-e-pā the ham bhī
ham ne chhoḌā na kahāñ apnā asar ai 'afzal'
nāla-e-sub.h the yā āh-e-rasā the ham bhī
tez aandhi the bagula the saba the hum bhi
apni auqat se har chand siwa the hum bhi
Dhal gaya umr ka suraj to ye ehsas hua
chaar din ke liye kya jaaniye kya the hum bhi
laghzishen hum se bhi kya kya na bahar-gam huin
puchhiye hum se to paband-e-wafa the hum bhi
aaj Thukrae hue sang ki surat hi sahi
kal larazte hue honTon ki dua the hum bhi
gham to ye hai na mile hum ko parakhne wale
dahr mein aaina-e-sidq-o-safa the hum bhi
ho gae bas ki badalti hui qadron ke shikar
apne aslaf ke naqsh-e-kaf-e-pa the hum bhi
hum ne chhoDa na kahan apna asar ai 'afzal'
nala-e-subh the ya aah-e-rasa the hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.