tez hai ġham kā surḳh alaav
jal na uThe kāġhaz kī naav
gahre kaale ḳhauf ke saa.e
bhāgo in se jaan bachāo
zard nigāhoñ ke ḳhanjar kyoñ
karte rahe siine par ghaav
shāyad baazī jiit hī jā.ūñ
abhī hai baaqī āḳhirī daav
jīvan kī pātāl guphā meñ
aas ke dīpak aur jalāo
ghor udāsī abr ghanere
mutrib koī giit sunāo
Duub na jaa.e dil kī nagrī
ashkoñ kā dariyā na bahāo
'rāj' haiñ sūkhe pyaar ke sote
dard-bharā koī naġhma gaao
tez hai gham ka surKH alaw
jal na uThe kaghaz ki naw
gahre kale KHauf ke sae
bhago in se jaan bachao
zard nigahon ke KHanjar kyon
karte rahe sine par ghaw
shayad bazi jit hi jaun
abhi hai baqi aaKHiri daw
jiwan ki patal gupha mein
aas ke dipak aur jalao
ghor udasi abr ghanere
mutrib koi git sunao
Dub na jae dil ki nagri
ashkon ka dariya na bahao
'raj' hain sukhe pyar ke sote
dard-bhara koi naghma gao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.