tez kitne hain yaad ke nashtar
tez kitne haiñ yaad ke nashtar
muskurāte haiñ naam ke patthar
kitne chehroñ ko yaad rakkhoge
ek manzar anek pas-manzar
muḳhtalif muḳhtalif maraz lekin
ek se bed ek sī chādar
aa.ina dekhte haiñ jaane kyoñ
ok se log dhuup pī-pī kar
jis ko ab tak na mil sakā ākār
aisī āvāz hai mire andar
āstīneñ ulaT ke dekhā to
ḳhud chhupā.e hue thā maiñ ḳhanjar
tez kitne hain yaad ke nashtar
muskuraate hain nam ke patthar
kitne chehron ko yaad rakkhoge
ek manzar anek pas-manzar
muKHtalif muKHtalif maraz lekin
ek se bed ek si chadar
aaina dekhte hain jaane kyon
ok se log dhup pi-pi kar
jis ko ab tak na mil saka aakar
aisi aawaz hai mere andar
aastinen ulaT ke dekha to
KHud chhupae hue tha main KHanjar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.