tez-tar lahja-e-guftar kiya hai humne
tez-tar lahja-e-guftār kiyā hai ham ne
barg-e-gul ko kabhī talvār kiyā hai ham ne
sho.la-e-teġh ko āġhosh-e-nazar meñ le kar
ziist meñ maut ko bhī pyaar kiyā hai ham ne
kitne mansūroñ kā ḳhuuñ de ke tire kūche meñ
ehtirām-e-rasan-o-dār kiyā hai ham ne
mai-kade vāloñ ko saaqī kā havāla de kar
ek āvāz pe hushiyār kiyā hai ham ne
ġhair ke ḳhaam irādoñ ko kiyā hai paspā
azm ko āhanī dīvār kiyā hai ham ne
amn kahte haiñ jise ruuh hai āzādī kī
ek aalam ko ḳhabar-dār kiyā hai ham ne
ġhair ko pahle hī pahchān liyā thā lekin
hosh meñ aane ko ik vaar kiyā hai ham ne
ḳhuun ke daaġh chaTānoñ pe jo paa.e haiñ 'nushūr'
chuum kar lāla-e-kuhsār kiyā hai ham ne
tez-tar lahja-e-guftar kiya hai hum ne
barg-e-gul ko kabhi talwar kiya hai hum ne
shola-e-tegh ko aaghosh-e-nazar mein le kar
zist mein maut ko bhi pyar kiya hai hum ne
kitne mansuron ka KHun de ke tere kuche mein
ehtiram-e-rasan-o-dar kiya hai hum ne
mai-kade walon ko saqi ka hawala de kar
ek aawaz pe hushiyar kiya hai hum ne
ghair ke KHam iradon ko kiya hai paspa
azm ko aahani diwar kiya hai hum ne
amn kahte hain jise ruh hai aazadi ki
ek aalam ko KHabar-dar kiya hai hum ne
ghair ko pahle hi pahchan liya tha lekin
hosh mein aane ko ek war kiya hai hum ne
KHun ke dagh chaTanon pe jo pae hain 'nushur'
chum kar lala-e-kuhsar kiya hai hum ne
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 251)
- Author : Nushoor wahedi
- Publication : Sarvat Wahidi D/o Nushoor wahedi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.