tha abas KHauf ki aaseb-e-guman main hi tha
thā abas ḳhauf ki āseb-e-gumāñ maiñ hī thā
mujh meñ saaya sā koī aur kahāñ maiñ hī thā
sab ne dekhā thā kuchh uThtā huā mere ghar se
phailtā aur bikhartā vo dhuāñ maiñ hī thā
sach thā vo zahr gavārā hī kisī ko na huā
talḳhī-e-zā.iqa-e-kām-o-ziyāñ maiñ hī thā
ḳhud hī pyāsā thā bhalā pyaas bujhātā kis kī
sar pe sūraj ko liye abr-e-ravāñ maiñ hī thā
dar pe ik qufl-e-pur-asrār paḌā thā 'farruḳh'
bhed khultā bhī to kaise ki makāñ maiñ hī thā
tha abas KHauf ki aaseb-e-guman main hi tha
mujh mein saya sa koi aur kahan main hi tha
sab ne dekha tha kuchh uThta hua mere ghar se
phailta aur bikharta wo dhuan main hi tha
sach tha wo zahr gawara hi kisi ko na hua
talKHi-e-zaiqa-e-kaam-o-ziyan main hi tha
KHud hi pyasa tha bhala pyas bujhata kis ki
sar pe suraj ko liye abr-e-rawan main hi tha
dar pe ek qufl-e-pur-asrar paDa tha 'farruKH'
bhed khulta bhi to kaise ki makan main hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.