tha asiron mein qayamat ka numayan hona
tha asiron mein qayamat ka numayan hona
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
thā asīroñ meñ qayāmat kā numāyāñ honā
fasl-e-gul meñ vo mirā dāḳhil-e-zindāñ honā
haa.e ulfat meñ mirā be-sar-o-sāmāñ honā
chāk-dil chāk-jigar chāk-garebāñ honā
tum mire baa'd nadāmat se pashemāñ honā
haath malnā kabhī angusht-ba-dandāñ honā
sūrat-e-aish meñ āfāt-e-jahāñ muzmar haiñ
gul kā khilnā hai haqīqat meñ pareshāñ honā
raham aaya na butoñ ko kabhī allāh allāh
dekh kar ḳhāna-e-dil kā mire vīrāñ honā
na huā dard-e-mohabbat kā mudāvā na huā
kaam aaya na tirī aisī daurāñ honā
muskurā de ki sar-e-qabr baras jaa.eñ phuul
ik jahāñ dekh le sahrā kā gulistāñ honā
ho taraqqī-e-sitam dast-e-junūñ meñ yā-rab
mere dāman ko mubārak ho garebāñ honā
ho sake tum se to ab sabr karo ai 'mas.ūd'
dil kī taqdīr meñ likkhā thā pareshāñ honā
tha asiron mein qayamat ka numayan hona
fasl-e-gul mein wo mera daKHil-e-zindan hona
hae ulfat mein mera be-sar-o-saman hona
chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban hona
tum mere ba'd nadamat se pasheman hona
hath malna kabhi angusht-ba-dandan hona
surat-e-aish mein aafat-e-jahan muzmar hain
gul ka khilna hai haqiqat mein pareshan hona
raham aaya na buton ko kabhi allah allah
dekh kar KHana-e-dil ka mere viran hona
na hua dard-e-mohabbat ka mudawa na hua
kaam aaya na teri aisi dauran hona
muskura de ki sar-e-qabr baras jaen phul
ek jahan dekh le sahra ka gulistan hona
ho taraqqi-e-sitam dast-e-junun mein ya-rab
mere daman ko mubarak ho gareban hona
ho sake tum se to ab sabr karo ai 'masud'
dil ki taqdir mein likkha tha pareshan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.