tha bahut be-dard lekin hausla deta raha
thā bahut be-dard lekin hausla detā rahā
vo mujhe har shab na.e ghar kā pata detā rahā
maiñ use DhūñDā kiyā jismoñ kī jannat meñ magar
vo mujhe ḳhvāboñ meñ milne kī sazā detā rahā
kab use rukne kī fursat thī ġhurūr-e-husn meñ
maiñ ta.āqub meñ ravāñ thā maiñ sadā detā rahā
jal rahā thā ḳhud hī be-mā.egī kī aag meñ
maiñ isī dāman se sho.aloñ ko havā detā rahā
garche mohlik thā magar insāf kī ummīd par
muddatoñ ik zaḳhm qātil ko sadā detā rahā
maiñ to is kī justujū meñ thā guzar aayā magar
dasht-e-māzī der tak bū-e-vafā detā rahā
sab se pīchhe rah gayā huuñ 'arsh' yuuñ is dasht meñ
maiñ safar meñ har kisī ko rāsta detā rahā
tha bahut be-dard lekin hausla deta raha
wo mujhe har shab nae ghar ka pata deta raha
main use DhunDa kiya jismon ki jannat mein magar
wo mujhe KHwabon mein milne ki saza deta raha
kab use rukne ki fursat thi ghurur-e-husn mein
main taaqub mein rawan tha main sada deta raha
jal raha tha KHud hi be-maegi ki aag mein
main isi daman se shoalon ko hawa deta raha
garche mohlik tha magar insaf ki ummid par
muddaton ek zaKHm qatil ko sada deta raha
main to is ki justuju mein tha guzar aaya magar
dasht-e-mazi der tak bu-e-wafa deta raha
sab se pichhe rah gaya hun 'arsh' yun is dasht mein
main safar mein har kisi ko rasta deta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.