tha band wo dar phir bhi main sau bar gaya tha
thā band vo dar phir bhī maiñ sau baar gayā thā
mānind havā phāñd ke dīvār gayā thā
phirtā huuñ maiñ be-dil mirā dil kyuuñ nahīñ dete
kyā tum se juā khel ke maiñ haar gayā thā
saude ko na pūchh aayā thā tū naaz se jis din
gesū tirā us din mire sar maar gayā thā
dil se na sahī aa.e to mayyat pe vo āḳhir
aate na to marnā mirā bekār gayā thā
ḳhud maiñ ne jatāyā hai use hashr kā maidāñ
mash.had hī se maiñ us kā taraf-dār gayā thā
barchhā thā ki tiir apnī nazar se ye zarā pūchh
siine meñ kuchh is paar se us paar gayā thā
majbūr huā vo jo paḌā zulf kā phandā
'shauq' us ke vahāñ ho ke giraftār gayā thā
tha band wo dar phir bhi main sau bar gaya tha
manind hawa phand ke diwar gaya tha
phirta hun main be-dil mera dil kyun nahin dete
kya tum se jua khel ke main haar gaya tha
saude ko na puchh aaya tha tu naz se jis din
gesu tera us din mere sar mar gaya tha
dil se na sahi aae to mayyat pe wo aaKHir
aate na to marna mera bekar gaya tha
KHud main ne jataya hai use hashr ka maidan
mashhad hi se main us ka taraf-dar gaya tha
barchha tha ki tir apni nazar se ye zara puchh
sine mein kuchh is par se us par gaya tha
majbur hua wo jo paDa zulf ka phanda
'shauq' us ke wahan ho ke giraftar gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.