tha barf aatish mein Dhal raha hai
thā barf ātish meñ Dhal rahā hai
vo ḳhud ko yaksar badal rahā hai
kisī ne Dhāle haiñ mom ke but
kisī kā sūraj pighal rahā hai
abhī zamīñ par giregā Tap se
bahut ziyāda uchhal rahā hai
na.ī ibārat likhegā shāyad
vo dā.ere se nikal rahā hai
añdhere phir haath mal rahe haiñ
phir ek jugnū sambhal rahā hai
bujhā samundar kī pyaas yā-rab
ye kitnī nadiyāñ nigal rahā hai
jo chāñd rahtā thā āsmāñ meñ
sunā hai chhat par Tahal rahā hai
tha barf aatish mein Dhal raha hai
wo KHud ko yaksar badal raha hai
kisi ne Dhaale hain mom ke but
kisi ka suraj pighal raha hai
abhi zamin par girega Tap se
bahut ziyaada uchhal raha hai
nai ibarat likhega shayad
wo daere se nikal raha hai
andhere phir hath mal rahe hain
phir ek jugnu sambhal raha hai
bujha samundar ki pyas ya-rab
ye kitni nadiyan nigal raha hai
jo chand rahta tha aasman mein
suna hai chhat par Tahal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.