tha dam-e-parwaz jaane kaise manzar ka KHayal
thā dam-e-parvāz jaane kaise manzar kā ḳhayāl
tā.ir-e-dil ne na rakkhā baal aur par kā ḳhayāl
phir kahāñ mumkin rasā.ī manzil-e-maqsūd tak
ho safar kā shauq lekin dil meñ ho ghar kā ḳhayāl
yuuñ junūñ ko justujū-e-ālam-e-idrāk hai
jaise qatre kī nazar meñ ho samundar kā ḳhayāl
hai mire pesh-e-nazar jab dasht-e-īsār-o-vafā
kis ko fursat hai ki rakkhe jism kā sar kā ḳhayāl
fikr ke motī bikhere jā rahā huuñ roz-o-shab
jaane kis markaz pe Thahrā zindagī bhar kā ḳhayāl
jān-o-dil ko soz-e-ġham kī de gayā ra.anā.iyāñ
jab use aaya hai mere dīda-e-tar kā ḳhayāl
ai 'qamar' ye hai dalīl-e-azmat-e-fikr-o-shu.ūr
paañv phailāne se pahle jab ho chādar kā ḳhayāl
tha dam-e-parwaz jaane kaise manzar ka KHayal
tair-e-dil ne na rakkha baal aur par ka KHayal
phir kahan mumkin rasai manzil-e-maqsud tak
ho safar ka shauq lekin dil mein ho ghar ka KHayal
yun junun ko justuju-e-alam-e-idrak hai
jaise qatre ki nazar mein ho samundar ka KHayal
hai mere pesh-e-nazar jab dasht-e-isar-o-wafa
kis ko fursat hai ki rakkhe jism ka sar ka KHayal
fikr ke moti bikhere ja raha hun roz-o-shab
jaane kis markaz pe Thahra zindagi bhar ka KHayal
jaan-o-dil ko soz-e-gham ki de gaya ranaiyan
jab use aaya hai mere dida-e-tar ka KHayal
ai 'qamar' ye hai dalil-e-azmat-e-fikr-o-shuur
panw phailane se pahle jab ho chadar ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.