tha hamara yaqin sarabon par
thā hamārā yaqīñ sarāboñ par
kaaT dī 'umr jhūTe vā'doñ par
vaqt kā intiqām to dekho
barf rakh dī mire irādoñ par
jugnuoñ kā gumān hotā hai
jalte-bujhte hue charāġhoñ par
ham ne buniyād-e-zindagī rakh dī
apne farḳhanda se ḳhayāloñ par
apnī chhat ko bachā ke rakhiyegā
hai havā kī nazar makānoñ par
zehn insāñ kā aaj hai mā.ūf
anginat bojh hai dimāġhoñ par
she'r be-misl the 'adīm' apne
us ne likkhā hai jo kitāboñ par
tha hamara yaqin sarabon par
kaT di 'umr jhuTe wa'don par
waqt ka intiqam to dekho
barf rakh di mere iradon par
jugnuon ka guman hota hai
jalte-bujhte hue charaghon par
hum ne buniyaad-e-zindagi rakh di
apne farKHanda se KHayalon par
apni chhat ko bacha ke rakhiyega
hai hawa ki nazar makanon par
zehn insan ka aaj hai mauf
anginat bojh hai dimaghon par
she'r be-misl the 'adim' apne
us ne likkha hai jo kitabon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.