tha harf-e-shauq said hua kaun le gaya
thā harf-e-shauq said huā kaun le gayā
maiñ jis ko sun sakūñ vo sadā kaun le gayā
ik maiñ hī jāma-posh thā uryāniyoñ ke biich
mujh se mirī abā o qabā kaun le gayā
ehsās bikhrā bikhrā sā haarā huā badan
chaḌhtī harārtoñ kā nasha kaun le gayā
bātoñ kā husn hai na kahīñ shoḳhi-e-bayāñ
shahr-e-navā se harf o sadā kaun le gayā
maiñ kab se huuñ asiir sarāboñ ke jaal meñ
niile samundaroñ pe ghaTā kaun le gayā
mai-ḳhāna chhoḌ ghar kī fazāoñ meñ aa ga.e
ham se matā-e-laġhzish-e-pā kaun le gayā
maiñ jab na thā to mujh pe bahut qahqahe lage
ahbāb se sirisht-e-vafā kaun le gayā
tha harf-e-shauq said hua kaun le gaya
main jis ko sun sakun wo sada kaun le gaya
ek main hi jama-posh tha uryaniyon ke bich
mujh se meri aba o qaba kaun le gaya
ehsas bikhra bikhra sa haara hua badan
chaDhti hararton ka nasha kaun le gaya
baaton ka husn hai na kahin shoKHi-e-bayan
shahr-e-nawa se harf o sada kaun le gaya
main kab se hun asir sarabon ke jal mein
nile samundaron pe ghaTa kaun le gaya
mai-KHana chhoD ghar ki fazaon mein aa gae
hum se mata-e-laghzish-e-pa kaun le gaya
main jab na tha to mujh pe bahut qahqahe lage
ahbab se sirisht-e-wafa kaun le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.