tha ishq ya main waqai bimar paDa tha
thā 'ishq yā maiñ vāqa'ī bīmār paḌā thā
ab yaad nahīñ kaun sā āzār paḌā thā
sadiyāñ mujhe is ghar kī safā.ī meñ lagī haiñ
bekār ḳhudāoñ kā ik ambār paḌā thā
ik baar zarā bigḌī thī fir'aun kī hālat
aur ġham meñ jahāñ jo bhī thā bīmār paḌā thā
mushkil thā bahut ham se ḳharīdār kā milnā
yuuñ raah meñ bāzār kā bāzār paḌā thā
par ham ne qasam khaa.ī thī 'ibrat nahīñ lenī
aḳhbār ke andar bhī ik aḳhbār paḌā thā
vo ḳhush-badan ik din bhī 'ayādat ko na aayā
maiñ ruuh meñ apnī kahīñ bīmār paḌā thā
tha 'ishq ya main waqa'i bimar paDa tha
ab yaad nahin kaun sa aazar paDa tha
sadiyan mujhe is ghar ki safai mein lagi hain
bekar KHudaon ka ek ambar paDa tha
ek bar zara bigDi thi fir'aun ki haalat
aur gham mein jahan jo bhi tha bimar paDa tha
mushkil tha bahut hum se KHaridar ka milna
yun rah mein bazar ka bazar paDa tha
par hum ne qasam khai thi 'ibrat nahin leni
aKHbar ke andar bhi ek aKHbar paDa tha
wo KHush-badan ek din bhi 'ayaadat ko na aaya
main ruh mein apni kahin bimar paDa tha
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 40)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.