tha meri KHwahishon mein jo kal pech-o-tab sa
thā merī ḳhvāhishoñ meñ jo kal pech-o-tāb sā
lagtā hai us kā zikr bhī ab to azaab sā
bikhrā huā thā chāroñ taraf maiñ varaq-varaq
us ne mujhe sameT liyā hai kitāb sā
ab tak basā huā hai koī lā-shu.ūr meñ
ab tak mahak rahā hai pasīna gulāb sā
phir is ke baa'd hogī kahānī kī ibtidā
ye intishār to hai faqat intisāb sā
kyoñ vaz-e-ehtiyāt meñ kaaTī tamām umr
pūchhe jo zindagī to rahūñ lā-javāb sā
dekhūñ to duur tak na sitāre na chāñdnī
sochūñ to apnā zaḳhm lage āftāb sā
hijrat kā zaḳhm ab bhī khaTaktā hai paañv meñ
ab bhī 'ziyā' hai dahr meñ ḳhāna-ḳharāb sā
tha meri KHwahishon mein jo kal pech-o-tab sa
lagta hai us ka zikr bhi ab to azab sa
bikhra hua tha chaaron taraf main waraq-waraq
us ne mujhe sameT liya hai kitab sa
ab tak basa hua hai koi la-shuur mein
ab tak mahak raha hai pasina gulab sa
phir is ke ba'd hogi kahani ki ibtida
ye intishaar to hai faqat intisab sa
kyon waz-e-ehtiyat mein kaTi tamam umr
puchhe jo zindagi to rahun la-jawab sa
dekhun to dur tak na sitare na chandni
sochun to apna zaKHm lage aaftab sa
hijrat ka zaKHm ab bhi khaTakta hai panw mein
ab bhi 'ziya' hai dahr mein KHana-KHarab sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.