tha parinda kisi uDan mein gum
thā parinda kisī uḌaan meñ gum
ho gayā phir vo āsmān meñ gum
kaun us ko talāsh kartā hai
jo makīñ ho gayā makān meñ gum
is se pahle ki kuchh kahūñ us se
ho gayā lafz hī zabān meñ gum
lāpata huuñ magar zamānoñ se
huuñ tirī khoj ke nishān meñ gum
kyā karūñ maiñ tirā yaqīñ ki abhī
maiñ to ḳhud huuñ kisī gumān meñ gum
tha parinda kisi uDan mein gum
ho gaya phir wo aasman mein gum
kaun us ko talash karta hai
jo makin ho gaya makan mein gum
is se pahle ki kuchh kahun us se
ho gaya lafz hi zaban mein gum
lapata hun magar zamanon se
hun teri khoj ke nishan mein gum
kya karun main tera yaqin ki abhi
main to KHud hun kisi guman mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.