tha unki tarah main bhi aaghaz mein saudai
thā un kī tarah maiñ bhī āġhāz meñ saudā.ī
baḌhne do junūñ yārāñ aa jā.egī dānā.ī
phir dil kā taqāza hai us shoḳh se kuchh kahiye
phir koh-e-tamannā par ik barq sī lahrā.ī
ā.īn-e-zabāñ-bandī jis ahd meñ nāfiz ho
is ahd meñ ḳhāmoshī ho jaa.e hai goyā.ī
jab aag lagī ghar meñ thā kaun bujhāne ko
ab tak to milā ham ko har shaḳhs tamāshā.ī
hushyārī meñ ġhaflat sī ġhaflat meñ bhī hushyārī
hai tere qalandar meñ ik shān-e-shakebā.ī
ḳhāmosh khaḌā thā maiñ sab qatl ke darpai the
jab ġhaur se dekhā to un meñ thā mirā bhaa.ī
din-bhar to shikāre meñ ghūme haiñ janāb-e-shaiḳh
kahte haiñ dharā kyā hai har-samt ba-juz kaa.ī
tha un ki tarah main bhi aaghaz mein saudai
baDhne do junun yaran aa jaegi danai
phir dil ka taqaza hai us shoKH se kuchh kahiye
phir koh-e-tamanna par ek barq si lahrai
aain-e-zaban-bandi jis ahd mein nafiz ho
is ahd mein KHamoshi ho jae hai goyai
jab aag lagi ghar mein tha kaun bujhane ko
ab tak to mila hum ko har shaKHs tamashai
hushyari mein ghaflat si ghaflat mein bhi hushyari
hai tere qalandar mein ek shan-e-shakebai
KHamosh khaDa tha main sab qatl ke darpai the
jab ghaur se dekha to un mein tha mera bhai
din-bhar to shikare mein ghume hain janab-e-shaiKH
kahte hain dhara kya hai har-samt ba-juz kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.