tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun
thā us kā jaisā 'amal vo hī yaar maiñ bhī karūñ
ridā-e-vaqt ko kyā dāġh-dār meñ bhī karūñ
mu'āf mujh ko na karnā kisī bhī sūrat se
zamāne tujh ko agar ashk-bār maiñ bhī karūñ
mile jo mujh ko bhī fursat ġham-e-zamāna se
kisī ke sāmne zikr-e-bahār maiñ bhī karūñ
jo Daale rahte haiñ chehroñ pe maslahat kī naqāb
kyā aise logoñ meñ terā shumār maiñ bhī karūñ
ḳhudā kare ki tujhe vo maqām bhī ho nasīb
jahāñ pahuñch ke tirā e'tibār meñ bhī karūñ
salīqa mujh ko jo aa jaa.e sher kahne kā
ki ġhazal-e-'mīr' se naqsh-o-nigār maiñ bhī karūñ
tha us ka jaisa 'amal wo hi yar main bhi karun
rida-e-waqt ko kya dagh-dar mein bhi karun
mu'af mujh ko na karna kisi bhi surat se
zamane tujh ko agar ashk-bar main bhi karun
mile jo mujh ko bhi fursat gham-e-zamana se
kisi ke samne zikr-e-bahaar main bhi karun
jo Dale rahte hain chehron pe maslahat ki naqab
kya aise logon mein tera shumar main bhi karun
KHuda kare ki tujhe wo maqam bhi ho nasib
jahan pahunch ke tera e'tibar mein bhi karun
saliqa mujh ko jo aa jae sher kahne ka
ki ghazal-e-'mir' se naqsh-o-nigar main bhi karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.