tha wo yaron mein apna yar bahut
thā vo yāroñ meñ apnā yaar bahut
ik usī se thā ham ko pyaar bahut
shahr-e-jāñ meñ 'ajīb raunaq thī
dil se dil kā thā kārobār bahut
vo bhī kuchh muztarib sā rahtā thā
ham bhī rahte the be-qarār bahut
kaisā nashsha thā bazm meñ us kī
aaj tak hai hameñ ḳhumār bahut
ek ThanDak thī us kī chhāoñ meñ
ik shajar thā vo sāya-dār bahut
us ke dam se thā e'tibār-e-suḳhan
thā suḳhan kā vo e'tibār bahut
ik taraf thā hujūm-e-nauha-garāñ
ek jānib the ġham-gusār bahut
ḳhema-e-dushmanāñ kī raunaq haiñ
āj-kal us ke jāñ-nisār bahut
‘āshiqān-e-salīm-ahmad ko
jāntā hai ye ḳhāksār bahut
dostī kyā hai nisf dhokā hai
is kā karnā na e'tibār bahut
dāstāneñ to haiñ tavīl magar
ham ne bartā hai iḳhtisār bahut
ham ko iqlīm-e-shā'irī kā 'azīm'
yaad aatā hai shahryār bahut
tha wo yaron mein apna yar bahut
ek usi se tha hum ko pyar bahut
shahr-e-jaan mein 'ajib raunaq thi
dil se dil ka tha karobar bahut
wo bhi kuchh muztarib sa rahta tha
hum bhi rahte the be-qarar bahut
kaisa nashsha tha bazm mein us ki
aaj tak hai hamein KHumar bahut
ek ThanDak thi us ki chhaon mein
ek shajar tha wo saya-dar bahut
us ke dam se tha e'tibar-e-suKHan
tha suKHan ka wo e'tibar bahut
ek taraf tha hujum-e-nauha-garan
ek jaanib the gham-gusar bahut
KHema-e-dushmanan ki raunaq hain
aaj-kal us ke jaan-nisar bahut
‘ashiqan-e-salim-ahmad ko
jaanta hai ye KHaksar bahut
dosti kya hai nisf dhoka hai
is ka karna na e'tibar bahut
dastanen to hain tawil magar
hum ne barta hai iKHtisar bahut
hum ko iqlim-e-sha'iri ka 'azim'
yaad aata hai shahryar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.