tha yaqin ka tazkira wahm-o-guman tak le gae
thā yaqīñ kā tazkira vahm-o-gumāñ tak le ga.e
baat niklī thī kahāñ kī tum kahāñ tak le ga.e
tum ga.e aur e.atibār-e-rāz-dāñ tak le ga.e
baat jo merī thī ġhairoñ kī zabāñ tak le ga.e
manzil-e-dār-o-rasan ke husn kā tālib thā maiñ
rāhbar mujh ko faqat kū-e-butāñ tak le ga.e
kyoñ kisī ko zahmat-e-bedād deñ ḳhuddār haiñ
aag ke sho.aloñ ko ham ḳhud āshiyāñ tak le ga.e
sarfaroshī ne baḌhā dī aur bhī kuchh aabrū
log dāman kī hamāre dhajjiyāñ tak le ga.e
faisle dete rahe ātish-bayānī ke ḳhilāf
mas.ala jab koī ham ahl-e-zabāñ tak le ga.e
aa.e jab jhoñke havāoñ ke to maqtal meñ 'azīz'
garmiyāñ mere laboñ kī gulsitāñ tak le ga.e
tha yaqin ka tazkira wahm-o-guman tak le gae
baat nikli thi kahan ki tum kahan tak le gae
tum gae aur eatibar-e-raaz-dan tak le gae
baat jo meri thi ghairon ki zaban tak le gae
manzil-e-dar-o-rasan ke husn ka talib tha main
rahbar mujh ko faqat ku-e-butan tak le gae
kyon kisi ko zahmat-e-bedad den KHuddar hain
aag ke shoalon ko hum KHud aashiyan tak le gae
sarfaroshi ne baDha di aur bhi kuchh aabru
log daman ki hamare dhajjiyan tak le gae
faisle dete rahe aatish-bayani ke KHilaf
masala jab koi hum ahl-e-zaban tak le gae
aae jab jhonke hawaon ke to maqtal mein 'aziz'
garmiyan mere labon ki gulsitan tak le gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.