tha zindagi se pyar to bimar kyon hue
thā zindagī se pyaar to bīmār kyoñ hue
ya.anī asīr-e-gesū-e-dil-dār kyoñ hue
vīrāniyoñ kā aur bhī ehsās baḌh gayā
nazroñ ke sāmne gul-o-gulzār kyoñ hue
kholeñ ye raaz ab tirī zulfoñ ke pech-o-ḳham
ham kāvish-e-junūñ meñ giraftār kyoñ hue
bebākī-e-nigāh ke mujrim haiñ ham magar
jalve harīf-e-lazzat-e-dīdār kyoñ hue
minnat-pazīr shāna-e-tadbīr ke jo haiñ
taqdīr ke vo gesū-e-ḳhamdār kyoñ hue
mauj-e-havā-e-shauq ne ham ko kiyā ḳharāb
jiine se kyā batā.eñ ki bezār kyoñ hue
ehsās-e-talḳhī-e-ġham-o-ālām al-amāñ
dīvāna kyoñ na ham hue hushiyār kyoñ hue
kuchh aur baḌh ga.ī hai girāñ-bārī-e-hayāt
sharminda-e-navāzish-e-aġhyār kyoñ hue
pādāsh-e-jurm meñ jise denā paḌā hai dil
us kī nazar ke aap gunahgār kyoñ hue
har har nafas hai ab to sazā-e-dil-o-nazar
itnā mire qarīb ye afkār kyoñ hue
apne ko dekh aur phir apnī nazar ko dekh
ham se na pūchh be-ḳhud-o-sarshār kyoñ hue
'nāsir' vo zindagī vo laḌakpan kī zindagī
ham us hasīn ḳhvāb se bedār kyoñ hue
tha zindagi se pyar to bimar kyon hue
yani asir-e-gesu-e-dil-dar kyon hue
viraniyon ka aur bhi ehsas baDh gaya
nazron ke samne gul-o-gulzar kyon hue
kholen ye raaz ab teri zulfon ke pech-o-KHam
hum kawish-e-junun mein giraftar kyon hue
bebaki-e-nigah ke mujrim hain hum magar
jalwe harif-e-lazzat-e-didar kyon hue
minnat-pazir shana-e-tadbir ke jo hain
taqdir ke wo gesu-e-KHamdar kyon hue
mauj-e-hawa-e-shauq ne hum ko kiya KHarab
jine se kya bataen ki bezar kyon hue
ehsas-e-talKHi-e-gham-o-alam al-aman
diwana kyon na hum hue hushiyar kyon hue
kuchh aur baDh gai hai giran-bari-e-hayat
sharminda-e-nawazish-e-aghyar kyon hue
padash-e-jurm mein jise dena paDa hai dil
us ki nazar ke aap gunahgar kyon hue
har har nafas hai ab to saza-e-dil-o-nazar
itna mere qarib ye afkar kyon hue
apne ko dekh aur phir apni nazar ko dekh
hum se na puchh be-KHud-o-sarshaar kyon hue
'nasir' wo zindagi wo laDakpan ki zindagi
hum us hasin KHwab se bedar kyon hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.